Friday, 3 June 2016

Bikhre Sapne

Sunhere safar ki aash na thi
Andhere dino ki khweish liye
Sansar ki ulat sajish liye
Humne sapno ka jaal bichaya
Kuch sapne savarte gaye
Kuch sapne sapno me hi bikharte gaye

Tute hue sapno ki doli ka bojh
Chintit mann ki uljhi soch
Kuch khwab chand ummed ka khel hai
Sansar ka virrodh aur swayem ka mel hai
Unki bikhare sapno ki gaatha hai
Humari ummedo bhari radha hai

Sapne aur hakikat ki ye spardha hai
Kuch hum jeete kuch hum haare
Kuch woh muskuraye kuch woh roye
Isse zalim ko kuch zindagi kehte hai
Kuch bekhauf hoke to kuch sharimdagi se....

No comments:

Post a Comment